Sothink HD Movie Maker 2.2


Sothink HD Movie Maker bohat taiz aur bohat asan tareekay say apki videos ko convert karta hai es mein ap standard resolution ki videos ko HD Videos mein convert kar saktay hain es ap na sirf apni videos ko HD mein convert kar sakty hain balkay ap bluray disc b bna sakty hain.
es say pehlay b mein nay kafi softwares istmal kiye hain lakin Sothink HD Movie Maker in sb mein Behter hai. ye takreeban un tamam video formats ko support karta hai jo mostly useage mein atay hain. es ka menu bohat simple aur asan hai es Video CD/DVD bnanay kay liye ap ko sirf source file daini hai aur kuch minto mein ap ki HD Video ki CD/DVD tiyaar hogi.

es mein ap Highest Definition Blu-ray and VCHD Video Disc Create kr sakty hain. es mein blu-ray movies 1280p from multi-formats of Videos, for example MKV,AVI,DivX/XviD),MP4,MOV, MV,M2TS,MPEG-1/2/3/4,RM,RMVB,H.264/AVC,VOB,etc.ap es mein high definition videos dono format mein bna sakty hain blu-ray Disc (BDMV) aur regular DVD Disc (AVCHD).

License: Trial Version
OperatingSystem: WindowsXP/Vista/7
Languages: English
Developer: SourceTec Software Co.
Download:Download Now

VLC Media Player 2.0.3

ajj kay taiz raftar media kay dour mein mukhtalif media developers humein apnay bnaye hoye codec ki madad  say video ko dekhnay ki sahoolat frhaam kartay hain. lakin phir b hum apnay computer mein aik say ziyada media players ko install kartay hain.es waja ya dekhnay mein ayi hai apnay jo apni purani movies collection jo kay puranay formats mein convert ki hoi hai. jo codecs aaj kal band ho chokay hain un movies yan video ko play karna ap kay liye sar dard ban jata hai.
in tamam problems ka hal ik hi hai VLC Media Player. jo ap ko bohat ziyada tadad mein  kisi codec ko install kiye begair audio aur video ko chalany ki sahoolat frhaam karta hai. ye koi new media player nahi hai balkay es ko internet pay chalte kafi arsha guzar giya hai. VLC MEDIA PLAYER ap ko har kisi format mein video play karnay ki sahoolat deta hai.
VLC MEDIA PLAYER ap ko na sirf windows PC  balkay MAC PC per bhi ap har kisam ki video es mein play kar sakty hain. es say ap wo audio aur video sun aur dekh sakty hain jo kay internet per kisi online streaming server per host ki gai hai us ko play kar saktay hain. es ki new realease mein MAC PC kay liye kafi ziyada tabdeeliya kar di gai hain. jin ki madad say ap es  mein bluray DVD b play kar saktay hain. aur 32-bit aur 64-bit kay separate version bna diye gaye hain.

License: Open Source
Operating System: MAC OS X / Windows XP/Vista/Windows 7/32-bit
Languages: English
Developer: Videolan
Windows Version:Download Now
Mac Version: Download Now

VLC Streamer Free 2.20

Sb say eham masla aaj kal mobile, iPhone, iPod,iPad,etc per audio aur video ko chalanay ka hai. ager tamam video itunes say download kartay hain to mere khiyal say ye ap ki device mein run karnay kay liye tiyar hoti hain. lakin ager  ap video kisi dosri website say download kartay hain to es ko dekhnay kay liye pehlay apnay IOS kay mutabik format karna parta hai. 
VLC media player ap ko apnay iPhone, iPad, iPod aur un tamam devices pay jin per ap VLC Streamer player install kar saktay hain. in IOS per ap ko video ko dekhnay ko masla vlc nay solve kar diya hai.


VLC Streamer mein bohat say codec shamil kar diye gaye hain jis ki waja ap ko apnay ios device per video dekhnay kay liye video ko convert karnay yan apni device kay mutabik codec install karnay ki zaroorat nahi parti. apni device ko computer kay sath conect karein jo b movie, video, yan ap sunna chahtein hai wo ap apni device mein copy kar saktay hai.

VLC Streamer ap ko deta hai perfect blend, convenience and tweakability. es kay liye ap ko ziyada knowledge ki zaroorat nahi hai. VLC Free version mein ap sirf apni hard drive say movie,video,audio sun aur dekh saktay hain. lakin ager ap es ka full version buy kartey hain jo sirf 1.99 $ ka hai es say ap online movies b dekh saktay hain. ye un logon kay liye bohat achi application jo log media ki bohat c varity ko ik jaga dekhna chahtein hain on your iPad,iPhone,or iod touch.


License: Freeware
Operating System: iPad, iPhone
Languages: English
Developer: Hobbyist Software
Download iPhoneDownload Now
Download iPad Download Now

Freemake Video Downloader 3.1.1

Freemake Video Downloader say ap koi b video free download kar saktay hain begair limit kay aur begair kisi cost kay. ap youtube ki video download kar saktay hain without  loss video quality. Freemake Video Downloader say ap youtube say video original quality mein download kar saktay hain aur ager ap sirf audio track download karna chahtein to ye feature b es mein mojood hai.

Freemake Video Downloader 10,000 say ziyada sites ko support karta hai. jis mein popular sites ye hain. youtube, facebook,, flicker, Vkontakte,  break, liveleak, myvideo, nicovideo, photobucket, vimeo, megavideo, dailymotion and 10,000+. Freemake Video Downloader  ki  hoi setting kay mutabik download karnay wali video ko rip kare ga.

Freemake Video Downloader Video downlaoding kay doran hi ap ki video ko avi, mkv, 3gp, mp3 format mein convert kar sakta hai. es kay ilawa youtube videos ko iPod, iPhone, iPad, PSP, Android kay liye foran hi video ko convert karnay ki sahoolat b deta hai. yahan tak kay ager youtube ki video private b upload ki hai to b ye us ko download karnay ki slahiyat rakhta hai.


License: Freeware
Operating System:  WindowsXP/Vista/7
Languages: English
Developer: Ellora Assets
Download:Download Now

Freemake Video Converter 3.1.1.3

Freemake Video Converter kay naam say lagta hai kay ye kisi aik video ko kisi aik output format mein convert kar sakta hai. magar es mein ab bohat say format add kar diye gaye hain. es mein ap AVI,WMV,  MP4  and 3GP format mein video Convert kar saktay hain. ager ap chahtein hain kay ap kisi khas device kay liye video convert ho to ap es mein mojood default profile mein say koi bhi profile select kar sakty hain. for example ap es mein say iPhone, iPod touch, iPhone 4, iPad, iPod, etc aur media palyers kay liye profile select kar sakty hain. koi b profile select karein  jo ap ki device kay liye behter ho freemake video converter ap ko bilkul ap ki device kay mutabik file ko convert kr kay de ga.

es mein video dvd kay liye title text thumbnail motion menus aur bohat kuch apni video film kay liye add kar sakty hain. aur ye sb karnay mein ap ko bohat thora sa time lagay ga. ager apni video clips  youtube, per share karna chahtein hain to freemake video converter ap ki video us format kay liye khud ba khud convert kar day ga. ap ko sirf youtube kay button per click karna hai aur apnay account ka username aur password dena hoga aur ap ki video publish ho jaye gi. aur es kay ilawa ap video mein say sound tarcks ko b alag kar saktay hain.

License: Freeware
Operating System: WindowsXP/Vista/7
Languages: English
Developer: Ellora Assets
Download:Download Now

Any Video Converter Free 3.5.2

Any Video Converter free brahe-raast transcoding tool hai jo kay apki videos bohat jaldi kisi b format mein convert kar sakta jis format ki ap ko zaroorat hai. any video converter un tamam video format ko samjta hai jo aaj kafi zaroori hai videos kay liye. for exampleVOB,MOV,RM,MP4,3GP,MKV,AVI, ASF,RMVB, MPG, FLV aur bhi bohat say format hain.
aur ye ap ko wo sb formats frhaam karta hai jo movies ki output kay liye zaroori hain. ager ap sirf audio sound track convert karna chahtay hain to es mein darj-zail format mojood hain jin say ap audio track bna saktay hain for example (PAL or NTSC) ASF,M2TS,MKV, MEPG1 and mpeg2.
ager ap kay pass video ka zakheera nahi hai to ap bohat asani kay sath youtube, google, metcafe, dailymotion, aur bohat c aisi websites hain jin say ap bohat asani aur HD videos download kar saktay hain. ager video ka kuch hisa ap ko pasand nahi ata to ap es ko crop aur trim b kar saktay hain. aur video  videos clip ko split aur ziyada video ko merge b kar saktay hain.
jb video ka output format select kartay hain to es mein ap kay pass bohat say options hain for example ap video clip resolution, bit rate, frame rate, video and audio codec aur bohat kuch, ye sb select karnay kay bad jab video convert ho jaye gi to mere khiyal say ap ko video ka bohat acha result milay ga.
3.5.2 mein ye feature ka izafa kiya giya hai.  youtube ki video ko download karnay mein jo erors atay wo remove kar diye gaye hain aur  short links support ko b add kiya giya hai. aur es mein bohat c languages b add kar di gai hain.


License: Freeware
Operating System: Windows XP/Vista/7
Languages: English
Developer:Anv Soft .Inc
Download windowsDownload Now
Download MacDownload Now

Corel Photopaint Pro X4

har kisam ki tasaveer ki quality ko behter bnanay kay liye jadeed camras aur bohat c clever techniques mojood hain. lakin hamesha hi bad mein behtri ki gunjaish hoti hai. ager ap nay corel photoshop install kiya hai jo kay ab ap ko bohat say tools for example tweak, adjust and retouch your images aur takhleeki mansoobo mien ap ko bohat say tools frhaam karta hai. for example ap corel photoshop ki lab mein ik picture open karein ye es ki brightness, shadwos, colour problems aur bohat kuch khud say hi tek kar deta hia. yes sb setting ap khud say b kr saktay hain.

aik click ki madad say ap es ki es kay makhsoos hiso ko crop kr saktay hain noise sharpen surkh ankh aur mazeed bohat kuch kr saktay hain. tabdeeli kay tools ki madad say jild blemishes ko nikalna, face ki smoothing  aur bohat say kaam kar saktay hain. ager ap ko lagta hai you're applying smililar changes all the time kay ap ki picture per chota sa b black dagh hai to es mein mojood batch processing feature es ko khatam karnay mein ap ki madad karta hai. ap aik picture ki adjustment karnay kay bad baki tamam picture per ye setting apply kar saktay hain.

jb ap ye sab tools apply kar lay to ap apnay images ko HD slideshows, apni videos kay in images ko istmal kar saktay hain. aur ye images ap apni facebook profile, youtube, flickr, per bhi share kar saktay hain.

License: Trial Version
Operating System: Windows XP/Vista/7
Languages: English
Developer: Corel
Download:Download Now

Bluestacks Android Application Player Beta

ager android apps ko kisi aur platform per chalana chahtay hain. phir ye zaroori hai kay ap apnay computer mein aik software development kit install
karein. Bluestacks palyer ap ko android apps ko windows per run karnay mein madadgar sabit ho sakta hai. bluestacks emulator ki tarha kaam karta hai. ye Windows 7 kay users ko apnay computer per android apps ko install karnay aur android apps ko apnay computer par synchronize karnay kay kabil bnata hai. es mein android ki bohat ziyada tadad mein apps mojood hai. jin ap apnay computer full screen mein use kar saktay hain aur apnay pc kay mouse aur keyboard aur touch screen ko ik hi jaga par istamal kar saktay hain.

bluestacks ap ko apni application and games ko favourite karnay ki sahoolat b frhaam karta hai. bluestacks Mac users kay liye bhi available hai. bluestacks abi tak beta version mein hai. takay es mein jo b problems hain pehle unko khatam kiya phir es ka mukamal version realease kiya jaye. beta version mein ap ko limited apps ko install karnay ki permission de ga lakin jb ye premium version mein aye ga tb ap es unlimited apps install kar saktay hain. I have Also related post about bluestacks.


License:                   Freeware            
Operating Systems:Windows, Mac   
Languages:              English               
Developer:                Bluestacks          

For Windows 

Downloads:
For Mac

Downloads:

4Media Video Converter Ultimate 7

4Media Video Converter aik bohat acha Conversation tool hai. es mein video ko bohat ziyada hd formats mein video convert kar saktay hain. for example DVD,VCD,SVCD,MOV, RM, AVI,MPEG-1/2/4,WMV,3GP, and etc. ye software ap ko bohat powerfull way frhaam karta hai jis say ap video format ko audio format mein convert kar saktay hain. es audio format mein ye format shamil hain. MP2,MP3,AC3,RA,M4A etc.
ye ap ko multithreading support deta hai. ap bohat c files ko aik waqat mein convert kar saktay hain. es programe min  tamam conversation porcesses bhoat asani aur taizi say hotay hain. jb files ko convert kar rahe hain to ap kisi bhi waqat bohat asani kay sath pause stop aur continue kar saktay hain. ap es ki default setting mein say khud say audio aur video codec select kar saktay hain. aur es kay ilawa output parameters bhi khud say select kar saktay hain.

4media video converter for mac. aik misali video converter hai mac user kay liye. mac operating system use karnay walay user es mein bohat shandar taiz raftar kay sath standard-definition (SD) video format aur high-definition (HD) formats mein video convert kar saktay hain. es mein ap videos say audio format mein convert kar saktay hain aur kisi bhi audio format ko kisi aur audio format mein convert kar saktay hain. ye mac converter ap ko bnay bnaye default format frhaam karta hia jis say ap kisi bhi multimedia device kay liye video ya audio file bna saktay hain. jis mein shamil hain iPod,iPhone,iPad,Apple TV,PSP,ps3,Xbox360, etc and all mobile phones.


License: Trial Version
Operating Systems: Windows 7 (32 bit),
Windows 7 (64 bit), Windows 8,MAC,
Languages: English
Developer: mp4converter

For Windows user

Downloads:
For Mac user

Downloads:

Toolwiz Player and Converter 1.4.0.0

Toolwiz Player and Coverter:- aik aisa software hai jis mein aik file download kar kay us mein do separate software istmal kar saktay hain jo kay media player aur Conversation Tool hai.
core media palyer tamam eham audio aur video format ko support karta hai. for example aac,ac3,ape,dts,flac,m4a,mp3,mpc,ofr,flv,mkv,mov, mp4,mpeg,mpg,nsv,tp,ts,vob,wmv, aur ye izafi codec packs ko install kiye ap ko behter video converter ki sahoolat deta hai. ye bohat chota sa aur buniyadi zaroorat per mabni interface hai. es mein koi menu nahi hai sirf open play/pause aur stop kay jo kay sirf 5 buttons aur aik toolbar per mushtamil hai.

conversation ki ifadiyat mein aik mukamal elehda programe hai. dekhnay mein ye bohat ajeeb hai kay es mein koi menu koi toolbar nahi hai. for example es mein ap aik waqt mein sirf aik file shamil kr saktay hain. apni output file format ko select sirf chotay say cluttered dailog box per kiya jata hai. ager video files ko convert kar rahe hain to ap aik hi waqt mein kuch filter apply kar saktay hain. tweaking ki chamak aur contrast, image flipping, cropping yan kuch or filters apply kar saktay hain.



License: Freeware
Operating Systems: Windows 7 (32 bit),
Windows 7 (64 bit), Windows 8,
Languages: English
Developer: Toolwiz

Downloads:
Alternate Download link

Downloads:

Windows 7 Boot Updater 0.0.1.1 Beta

Windows 7 Boot updater:- bohat say tareekay hain jin say ap apni windows ko apni marzi kay mutabik
kar saktay hain. aisay tools ki aik barri tadad internet per mojood hai. lakin es
tarha ap apni boot screen ko edit nahi kr saktay. ager ap windows 7 use kar rahe ho to. jb ap apnay computer ko start kartay ho yan apnay pc ko sleep mode say jagatay to jo window kay shuru mein dikhaya jata hai. windows 7 boot updater aik aisa tool hai jis ki madas ay ap es ko tabdeel yan edit kar saktay hain.

Computer kay startup mein jo black background aur jo animation dikhaya jata hai. es ka text color, text size, animation, background color ko ap apni marzi say tabdeel yan es ko edit kar saktay hain. 

es tool mein ap bohat asani kay sath apni boot screen kay animation text aur background color aur text size ko change kar saktay hian. aur jis b ap chahein ap es ko default position mein wapis la saktay hain. lakin es sb mein ik issue ata hai. jb ap ka computer power failure ki waja say band ho jaye ga to ye tamam process ap ko dobara say karna paray ga.


License: Freeware
Operating Systems: Windows 7 32bit or 64bit
Languages: English
Developer: Coder for life


Downloads:
Alternate Download Link

Downloads:

InfraRecode 0.58 64bit


InfraRecorder aik free CD/DVD burning application hai jis mein heeran kun had tak power full feature shamil kiye gaye hain. es mein un tamam disk burning project ki support mojood hai jin kay mutalik ap soch saktay hain. es ki madad say ap data audio disks aur video dvds kay ilawa iso images, photos images ko ISO, CUE, IMG, BIN, aur RAW formats mein write kar saktay hain.

infra recorder aam toor per simple aur sada application hai ager ap es say pehlay koi bhi disk burning tool istmal kar chukay hain to ap es programe ki basics say pehlay hi wakif  hon gay, sab say pehlay ap ko disk ka intkhab karna hoga phir matlooba file ko locate krna hai jisay ap burn karna chahtay hain. es kay liye ap working area mein file ko drag or drop kr saktay hain. 

lakin ager ap es ki mazeed detail mein bhi jana chahein to es kay ander detailed option b mojood hain. ap customed mixed mode projects bhi tiyaar kr saktay hain. es programe mein four mukhtalif erase/rewriteable option mojood hain. aur jb ap regular disk burn karna chahein to ap kay pass six mukhtalif burning kay method mojood hain. jaisay kay overburning allow kr saktay hain audio bytes ka order swap kar saktay hain aur manefucturer ki maksoos writing modes ko enable or disable kr saktay hain..


Downloads:
Alternate Download Link

Downloads:

InfraRecode 0.58

InfraRecorder aik free CD/DVD burning application hai jis mein heeran kun had tak power full feature shamil kiye gaye hain. es mein un tamam disk burning project ki support mojood hai jin kay mutalik ap soch saktay hain. es ki madad say ap data audio disks aur video dvds kay ilawa iso images, photos images ko ISO, CUE, IMG, BIN, aur RAW formats mein write kar saktay hain.
infra recorder aam toor per simple aur sada application hai ager ap es say pehlay koi bhi disk burning tool istmal kar chukay hain to ap es programe ki basics say pehlay hi wakif  hon gay, sab say pehlay ap ko disk ka intkhab karna hoga phir matlooba file ko locate krna hai jisay ap burn karna chahtay hain. es kay liye ap working area mein file ko drag or drop kr saktay hain. 

lakin ager ap es ki mazeed detail mein bhi jana chahein to es kay ander detailed option b mojood hain. ap customed mixed mode projects bhi tiyaar kr saktay hain. es programe mein four mukhtalif erase/rewriteable option mojood hain. aur jb ap regular disk burn karna chahein to ap kay pass six mukhtalif burning kay method mojood hain. jaisay kay overburning allow kr saktay hain audio bytes ka order swap kar saktay hain aur manefucturer ki maksoos writing modes ko enable or disable kr saktay hain..



Downloads:
Alternate Download Link

Downloads:

Viber PC Kay Liye - Urdu Video Tutorial


Viber For PC say ap free international calls aur massages kar saktay hain.  Viber For PC aik aisi applicatoin hain jis ki madad say two viber istmal krnay walay user aik dosray kay sath free call aur sms kar saktay hain. officaliy market mein viber sirf iphones aur android kay liye available hai. lakin bohat say log esay pc par bhi istmal karna chahtay hain. chunachey hum nay es ka hal nikal liya hai.

ap ko yahan say sirf Viber For PC Download karna hoga  aur es kay bad ap dosray viber users ko free calls aur sms send karnay kay kabil ho jaye gay chahiye wo android iphone yan pc per online hon. ap ko unkay sath bat karnay kay liye kisi costly smart phone ko buy krnay ki zaroorat nahi. es application ki madad say ap apnay pc kay munsalik speaker aur mic ki madad say apnay viber use karnay dosto say bat kar sakay gay...

Anyways, Shuru Kartay hain download karna viber for Pc.
Viber For Pc - Step by Step Installation Guideness..


viber ko apnay pc install krnay kay liye ap ko Blue Stacks ko run karna hoga. Blue Stacks kay sath ap viber for android ko apnay pc mein install kar saktay hain. aur phir ap viber for android ko viber for pc kay toor par istamal kr saktay hain. 


Blues Stacks ap ko dosray viber user kay sath calls karnay ki sahoolat frhaam karta hai. ap apnay pc ko kisi viber account kay sath register karwa saktay hain aur phir viber mien login ho kar viber for pc ko istamal kar saktay hain. es tareekay say ap apnay pc ko istmal krtay hoye duniya kay kisi hisay mein free calls aur massages kar saktay hain. 
es ka dosra fida ye hai kay ap ko kisi b costly android yan iphone smart phone par paisay kharchnay ki zaroorat nahi.

Tested Video
Step by Step Installation Tutorial Viber for Pc Hasil Karnay kay liye.

  1. Sb say pehlay google mein blue stacks likh kr enter karein. phir jo pehla link aye us per click karein.
  2. Blue Stacks Download karein aur install kar lein (ap Blue Stacks es link say b download kar saktay hain.
  3. Viber ko blue Stacks mein search karein.
  4. Viber kay sign per do dafa click karein.
  5. ye download aur install hona shuru ho jaye ga .
  6. jb ye blue stacks mein uper wali list mein nazar aye es per do dafa click karein.
  7. viber khud ba khud ap kay pc pay load hona shuru ho jaye ga.
  8. jb viber setup ap say phone number mangay apna phone likhay.
  9. ap ko ik text sms receive ho ga ap kay mobile pay jis ka maksad ap kay number ki ownership verify karna ho ga.
  10. ager ap ko sms receive nahi hota. The alternative is to click on the link under the SMS option.
  11. ap ko ik call receive hogi jis mein operator ap ko viber ka verification code btaya ga/gi.
  12. phir ap wapis aa ker call per btaya giya code likhay aur enter kar dein.
  13. phir viber setup ap kay mobile say ap kay contact ko access karnay ki permission mangay ga this is your choice say yes/No.
  14. jo contact ap ki list mein shamil hon gay in sb ko viber ki taraf say sms send ho jaye ga k ap nay viber ko join kiya hai. aur ager wo chahein to join kar saktay hain.
  15. yes contact automatically ap ki contact list mein add ho jayein gay.
  16. ab viber ko apnay pc chalanay say lutf andooz ho saktay hain. you should share it.
Thats it !....

if u have any question post your comment below in comment box.

Viber For PC - Make Free International Calls Urdu Tutorial

Viber For PC say ap free international calls aur massages kar saktay hain.  Viber For PC aik aisi applicatoin hain jis ki madad say two viber istmal krnay walay user aik dosray kay sath free call aur sms kar saktay hain. officaliy market mein viber sirf iphones aur android kay liye available hai. lakin bohat say log esay pc par bhi istmal karna chahtay hain. chunachey hum nay es ka hal nikal liya hai.

ap ko yahan say sirf Viber For PC Download karna hoga  aur es kay bad ap dosray viber users ko free calls aur sms send karnay kay kabil ho jaye gay chahiye wo android iphone yan pc per online hon. ap ko unkay sath bat karnay kay liye kisi costly smart phone ko buy krnay ki zaroorat nahi. es application ki madad say ap apnay pc kay munsalik speaker aur mic ki madad say apnay viber use karnay dosto say bat kar sakay gay. 
viber par abi video call ki sahoolat skype ki tarah majood nahi es kay liye ap ooVoo yan Paltalk use ker saktay hain Paltalk ap yahan say Download kar saktay hain.

Viber For Pc - Step by Step Installation Guideness


viber ko apnay pc install krnay kay liye ap ko android emulator ko run karna hoga. android emulator kay sath ap viber for android ko apnay pc mein install kar saktay hain. aur phir ap viber for android ko viber for pc kay toor par istamal kr saktay hain. 
emulator ap ko dosray viber user kay sath calls karnay ki sahoolat frhaam karta hai. ap apnay pc ko kisi viber account kay sath register karwa saktay hain aur phir viber mien login ho kar viber for pc ko istamal kar saktay hain. es tareekay say ap apnay pc ko istmall krtay hoye duniya kay kisi hisay mein free calls aur massages kar saktay hain. 
es ka dosra fida ye hai kay ap ko kisi b costly android yan iphone smart phone par paisay kharchnay ki zaroorat nahi. 


Note:- kuch user kay mutabik ager pc par ooVoo Install kr liye jaye to bohat say errors say bcha ja skta hai. Install ooVoo First.

Installation Ka Treeka
  1. Download Android Emulator Free From Android Developer's
  2. ager ap kay pc par java install nahi hai to machine khud ba khud java install karay gi. Ager nahi karta to ap khud say (java SE) Download kar kay install kar saktay hain.
  3. viber for android download karein. Click Here for Download 
  4. viber ko apnay pc mein isntall karay (Emulator)
  5. apna phone number enter karein yan google voice number yan call back method kay zariye registraion mukamal karein. 
  6. Viber for Pc ko Activate karein.
if u have any problem post your comments & Questions Below in comment Box.

XMedia Recode Portable 3.1.2.2

Xmedia aik audio aur video conversion tool hia jo kay takreeban tamam formats ko support karta hai. jaisa kay: 3GP, 3G2, AAC, AC3, AIFF, AMR, APE, ASF, AVI, VISynth, AU, DVD (unprotected), DIVX, DTS, E-AC3, FLAC, FLV, 261, H263, H264, M2TS, M1V, M2V, M3U, M3U8, M4A, M4P, M4V, MKA, MKV, MMF, MP2, MP3, MP4, MP4V, MPE, MPEG-1, MPEG-2, MPEG-4, MOV, QT, OGG, OGM, OGV, PVA, REC, RM, RMVB, SVCD, SWF, THP, TS, TRP, TP0, VCD, VOB, WebM, WMA, WMV, WML and WPL.

Chunacha ye programe humein wasi compatibility frhaam karta hai. es kay ilawa es mein mojood multimedia tools humein conversion process kay uper mukamal control frhaam kartay hain. ap es programe kay zariye video codec, frame rate, bit rate, Gop Lenght, resolution, aspect ratio, aur bohat say advance option ka intkhab kr saktay hain. aur ye hai es programe ka start. 

for example ager ap aik video ka size decrease karna chahtay hain to Xmedia Recode aik automatic algorithm kay zariye es ka size km nahi karta balkay ap ko khud decide karna hota hai kay ye kin kin perameters per ap ki videos ko reduce karay aur es kaam kay liye es mein nine options mojood hain. 

ager ye tamam cheezein ap ko kuch complicated nazar ayein to es mein simple option bhi mojood hain. es programe mein mukhtalif devices kay liye compatible videos bnanay kay liye internel profiles bhi mojood hain. jo kay ap apni matlooba deveices jis kay liye ap apni video convert karna chah rahe hain es kay mutabik select kiya ja sakta hai. for example ap apple kay devices kay liye video convert karna chahtay hain to apple profile ko select karein gay. Xmedia Recode bohat power full programe hai magar es mein aik 
problem hai kay ye sirf five languages ko support krta hia. lakin itnay ziyada feature ki waja say es ki ye weakness koi khass value nahi rakhta.. 


Downloads:
Alternate Download Link

Downloads:

XMedia Recode 3.1.2.2

XMedia aik audio aur video conversion tool hia jo kay takreeban tamam formats ko support karta hai. jaisa kay: 3GP, 3G2, AAC, AC3, AIFF, AMR, APE, ASF, AVI, AVI Synth, AU, DVD (unprotected), DIVX, DTS, E-AC3, FLAC, FLV, H261, H263, H264, M2TS, M1V, M2V, M3U, M3U8, M4A, M4P, M4V, MKA, MKV, MMF, MP2, MP3, MP4, MP4V, MPE, MPEG-1, MPEG-2, MPEG-4, MOV, QT, OGG, OGM, OGV, PVA, REC, RM, RMVB, SVCD, SWF, THP, TS, TRP, TP0, VCD, VOB, WebM, WMA, WMV, WML and WPL...
Chunachey ye programe humein wasi compatibility frhaam karta hai. es kay ilawa es mein mojood multimedia tools humein conversion process kay uper mukamal control frhaam kartay hain. ap es programe kay zariye video codec, frame rate, bit rate, Gop Lenght, resolution, aspect ratio, aur bohat say advance option ka intkhab kr saktay hain. aur ye hai es programe ka start. for example ager ap aik video ka size decrease karna chahtay hain to Xmedia Recode aik automatic algorithm kay zariye es ka size km nahi karta balkay ap ko khud decide karna hota hai kay ye kin kin perameters per ap ki videos ko reduce karay aur es kaam kay liye es mein nine options mojood hain. ager ye tamam cheezein ap ko kuch complicated nazar ayein to es mein simple option bhi mojood hain. es programe mein mukhtalif devices kay liye compatible videos bnanay kay liye internel profiles bhi mojood hain. jo kay ap apni matlooba deveices jis kay liye ap apni video convert karna chah rahe hain es kay mutabik select kiya ja sakta hai. for example ap apple kay devices kay liye video convert karna chahtay hain to apple profile ko select karein gay. Xmedia Recode bohat power full programe hai magar es mein aik problem hai kay ye sirf five languages ko support krta hia. lakin itnay ziyada feature ki waja say es ki ye weakness koi khass value nahi rakhta.. 



Downloads:
Alternate Download Link

Downloads:

Wise data Recovery 3.15

kisi had tak ye b kaha jata hai kay ager delete ki hoyi filo ko restore kar diya jaye to ye security issue ban jata hai. lakin ye ap ko aik bohat baray malsay say bahir nikal sakta hai ghalti say jb ap apni zaroori delete filein delete kr chukay hotay hain. bohat say aisay tools mojood hain jo ap ko delete kiye hoye datay ko wapis lanay mein madad daitay hain. lakin wise data recover in sb say ziyada asani kay sath istmal kiye janay wala tool hai. ye bilkul free off cost software hai aur es mein datay ko recover karnay ka process bohat simple hai. es mein koi bhi option configureable nahi hai balkay ap siday recover ho saknay walay data ko km say km waqt mein kr saktay hain. sb say pehla kaam drop down list mein say matlooba Hard drive yan USB Drive ko muntkhib karna hota hai jis ka data recover karna hai. ager ap wo files dekhna chahein jo kay recover ho sakti hain to ap ko scan ka button karna click karna ho ga.

es ka result bohat jald display ho jaye ga lakin asal waqt ap ki drive kay size kay mutabik km yan ziyada ho sakta hai. matlooba results ko ap mukhtalif tareeko say view kr saktay hain. ap explore style tree structure kay zariye recoverable folder ko navigate kr saktay hain. tamam recoverable files ko alphabetical order mein dekhnay kay liye ap all file option ko click kar saktay hain.

recover able data ki health ka andaza dainay kay liye programe mein traffic signal light ko istamal kiya giya hai. jis mein green light ka matlab hai data recovery kay liye koi problem nahi aye gi. jb kay orange yan red light ka matlab hia kay data ki recovery mein problem aa sakti hai. ap software kay home mein mojood search bar kay zariye bhi kisi file ko dhond saktay hain phir es file ko highlight krtay hoye recovery ka button daba kr matlooba jaga per recover kr saktay hain. ye wo tamam cheezein hain jo ap es software kay zariye kr sakty hain.


Downloads:
Alternate Download Link

Downloads:

Image Tuner 3.5

ager ap apnay photos aur scan image say behtreen mafaad hasil karna chahtay hain aur in ko high resolution mein rakhna chahtay hain aur aik uncompressed image format jo kay es ki bat ki yakeen dihani karwata hai k ap apni photo yan image per koi b change kar sakein aisi surat mein aik kaam jo apni photos aur images per nahi kr saktay wo hai dosron say share karna. DVD burn kartay waqt space ka km par jana aisi surat mein sirf aik hi tareeka yad ata hai k files ko compress kr liye jaye aur in ka size km kr kay in ko save kiya jaye aur phir share kiya jaye.
ab ye koi masla nahi raha ap apnay image editor ko chalayein es mein aisay tamam images ko load karein in sab ko resize kar kay in ki aik copy munasib format mein save karein. chnd ik photo honay ki surat mein ye kaam koi bara kaam nahi hai lakin jb ap darjano yan sankrron images share karna chahtay hain to ap ka aam image editor es kaam kay liye ghento surf kr day ga. yan phir ap aik hi kaam bar bar karnay ki zehmat uthana paray gi.

--> khush kismati say hamaray pass aik batch processing tool mojood hai jo humein ye kaam barri asani say krnay ki sahoolat frhaam krta hai es ka naam hai image tuner 3.5 jo kay images kay group ko chnd seconds mein thoray say click k bad hamaray matlooba format mein tabdeel krnay ki slahiyat rakhta hai. ap mukamal folder ko muntakhib kar k yan apni matlooba images ko programe ki window mein drag & drop kar kay task shuro kr saktay hai.

es kay bad new file size muntakhib karein  yan pehle say mojood shuda file sizes jaisay kay facebook kay liye twitter kay liye yan ipod k liye file size k liye muntakhib karein yan apna custom size dijiye. ap ko original aspect resho k mutalik pareshan honay ki zaroorat nahi programe es ka khud ba khud khiyal rakhta hai.

ap apnay output image ka format b muntakhib kar saktay hain. ager ap online sharing karna chahtay hain to jpeg format behter hai. es kay bad output folder muntakhib karein aur ager ap chahiye to photos ko rename b kr saktay hain aur es kay ilawa watermark copyright b add kr saktay hain. akhir mein click karein play k button pay aur programe ko apna kaam krnay dein.



Downloads:
Alternate Download Link

Downloads:

FastStone Image Viewer 4.6

FastStone Image Viewer 4.6 Farz karein k ap ki hard Drive per darjno Images bikhray paray hain jo k tamam mukhtalif iksaam k size aur format per mushtamil hain aur ap in tamam images ko ik jaga store karna chahtay hain. aur bilkul aik hi format mein store krna chahta hian aur es k sath sath in k naam b aik khass tarteeb say dena chahtay hain. shayed ap in tamam images ka size b aik jaisa rakhna chahiye aur in mein koi watermark b add krna chahein. to ap ko kiya karna hoga?
ap har file ko infradi toor per kholein gay aur har file per aik aik kr kay ye tamam actions apply karein gay. yan phir ap koi tool dhonday gay es hard work ko karnay k liye. 
FastStone Image Viewer, jaisay k es kay naam say hi zahir hai, ik umda tool hai images ko view karnay k liye. lakin sirf ye es ki porri tashree nahi karta es mein bohat taiz editing tools b shamil hian es k ilawa contact sheet builder jo ap ko es kabil bnata hai k ap apnay tamam images ki collection k thumbnail ka print lay sakein. lakin jo cheez es programe ko dosron say munfrid bnati hai  wo es ki batch processing ability hai. jo ap ko es kabil bnati hai k ap aik images k group ko ik hi khass format mein convert kr sakein ap in tamam image ko kisi dosray folder mein save kr saktay hain aur sath hi in ka naam b change kr saktay hain.
bs advance option box ko click karein aur ap k pass beshumar options ka khazana ho ga jaisay k resize, rotate, crop, change color depth aur dpi, light aur color ki adjustment, border lagana, aur apnay image ko text yan kisi dosray image say watermark lagana. ik dafa jb ap in tamam cheezon ko set kr daitay hain to phir ap ko sirf click ka button dabana parta hai aur phir ye programe seconds mein ap ki matlooba options ko apply karna shuro kr deta hai jo k chnd minto yan baz okaat ager ap kay images ziyada hain to ghento tak process ko mukamal karnay mein laga deta hai.


Downloads:
Alternate Download Link

Downloads: