FastStone Image Viewer 4.6

If You like this post take 5 second to share it!

FastStone Image Viewer 4.6 Farz karein k ap ki hard Drive per darjno Images bikhray paray hain jo k tamam mukhtalif iksaam k size aur format per mushtamil hain aur ap in tamam images ko ik jaga store karna chahtay hain. aur bilkul aik hi format mein store krna chahta hian aur es k sath sath in k naam b aik khass tarteeb say dena chahtay hain. shayed ap in tamam images ka size b aik jaisa rakhna chahiye aur in mein koi watermark b add krna chahein. to ap ko kiya karna hoga?
ap har file ko infradi toor per kholein gay aur har file per aik aik kr kay ye tamam actions apply karein gay. yan phir ap koi tool dhonday gay es hard work ko karnay k liye. 
FastStone Image Viewer, jaisay k es kay naam say hi zahir hai, ik umda tool hai images ko view karnay k liye. lakin sirf ye es ki porri tashree nahi karta es mein bohat taiz editing tools b shamil hian es k ilawa contact sheet builder jo ap ko es kabil bnata hai k ap apnay tamam images ki collection k thumbnail ka print lay sakein. lakin jo cheez es programe ko dosron say munfrid bnati hai  wo es ki batch processing ability hai. jo ap ko es kabil bnati hai k ap aik images k group ko ik hi khass format mein convert kr sakein ap in tamam image ko kisi dosray folder mein save kr saktay hain aur sath hi in ka naam b change kr saktay hain.
bs advance option box ko click karein aur ap k pass beshumar options ka khazana ho ga jaisay k resize, rotate, crop, change color depth aur dpi, light aur color ki adjustment, border lagana, aur apnay image ko text yan kisi dosray image say watermark lagana. ik dafa jb ap in tamam cheezon ko set kr daitay hain to phir ap ko sirf click ka button dabana parta hai aur phir ye programe seconds mein ap ki matlooba options ko apply karna shuro kr deta hai jo k chnd minto yan baz okaat ager ap kay images ziyada hain to ghento tak process ko mukamal karnay mein laga deta hai.


Downloads:
Alternate Download Link

Downloads:

If You like this post take 5 second to share it!

Do you Like this Post?
Get Latest Updates For Free!

0 comments:

Post a Comment