ager ap apnay photos aur scan image say behtreen mafaad hasil karna chahtay hain aur in ko high resolution mein rakhna chahtay hain aur aik uncompressed image format jo kay es ki bat ki yakeen dihani karwata hai k ap apni photo yan image per koi b change kar sakein aisi surat mein aik kaam jo apni photos aur images per nahi kr saktay wo hai dosron say share karna. DVD burn kartay waqt space ka km par jana aisi surat mein sirf aik hi tareeka yad ata hai k files ko compress kr liye jaye aur in ka size km kr kay in ko save kiya jaye aur phir share kiya jaye.
ab ye koi masla nahi raha ap apnay image editor ko chalayein es mein aisay tamam images ko load karein in sab ko resize kar kay in ki aik copy munasib format mein save karein. chnd ik photo honay ki surat mein ye kaam koi bara kaam nahi hai lakin jb ap darjano yan sankrron images share karna chahtay hain to ap ka aam image editor es kaam kay liye ghento surf kr day ga. yan phir ap aik hi kaam bar bar karnay ki zehmat uthana paray gi.
es kay bad new file size muntakhib karein yan pehle say mojood shuda file sizes jaisay kay facebook kay liye twitter kay liye yan ipod k liye file size k liye muntakhib karein yan apna custom size dijiye. ap ko original aspect resho k mutalik pareshan honay ki zaroorat nahi programe es ka khud ba khud khiyal rakhta hai.
ap apnay output image ka format b muntakhib kar saktay hain. ager ap online sharing karna chahtay hain to jpeg format behter hai. es kay bad output folder muntakhib karein aur ager ap chahiye to photos ko rename b kr saktay hain aur es kay ilawa watermark copyright b add kr saktay hain. akhir mein click karein play k button pay aur programe ko apna kaam krnay dein.
Downloads:
Alternate Download Link
Downloads: