Wise data Recovery 3.15

If You like this post take 5 second to share it!

kisi had tak ye b kaha jata hai kay ager delete ki hoyi filo ko restore kar diya jaye to ye security issue ban jata hai. lakin ye ap ko aik bohat baray malsay say bahir nikal sakta hai ghalti say jb ap apni zaroori delete filein delete kr chukay hotay hain. bohat say aisay tools mojood hain jo ap ko delete kiye hoye datay ko wapis lanay mein madad daitay hain. lakin wise data recover in sb say ziyada asani kay sath istmal kiye janay wala tool hai. ye bilkul free off cost software hai aur es mein datay ko recover karnay ka process bohat simple hai. es mein koi bhi option configureable nahi hai balkay ap siday recover ho saknay walay data ko km say km waqt mein kr saktay hain. sb say pehla kaam drop down list mein say matlooba Hard drive yan USB Drive ko muntkhib karna hota hai jis ka data recover karna hai. ager ap wo files dekhna chahein jo kay recover ho sakti hain to ap ko scan ka button karna click karna ho ga.

es ka result bohat jald display ho jaye ga lakin asal waqt ap ki drive kay size kay mutabik km yan ziyada ho sakta hai. matlooba results ko ap mukhtalif tareeko say view kr saktay hain. ap explore style tree structure kay zariye recoverable folder ko navigate kr saktay hain. tamam recoverable files ko alphabetical order mein dekhnay kay liye ap all file option ko click kar saktay hain.

recover able data ki health ka andaza dainay kay liye programe mein traffic signal light ko istamal kiya giya hai. jis mein green light ka matlab hai data recovery kay liye koi problem nahi aye gi. jb kay orange yan red light ka matlab hia kay data ki recovery mein problem aa sakti hai. ap software kay home mein mojood search bar kay zariye bhi kisi file ko dhond saktay hain phir es file ko highlight krtay hoye recovery ka button daba kr matlooba jaga per recover kr saktay hain. ye wo tamam cheezein hain jo ap es software kay zariye kr sakty hain.


Downloads:
Alternate Download Link

Downloads:

If You like this post take 5 second to share it!

Do you Like this Post?
Get Latest Updates For Free!

0 comments:

Post a Comment